24/08/2026
Sapne dekhna agar pehla kadam hai, toh unhe sach karne ki zid rakhna hi asli safar hai! ✨💪
Aaj mere is safar mein jo bhi positivity aur aage badhne ki taakat aayi hai, uske peeche Pinky Ma'am ka bahut bada haath hai. Sach kahun toh, aapne hume hamesha ek badi behan ki tarah treat kiya hai... kai baar dil mein aaya ki aapko "Jiji" kehkar bulaun, par pata nahi kyu tab himmat nahi hui. Ma'am, aapke guidance aur support ke bina ye sab shayad itna aasaan nahi hota. Dil se Thank You, Pinky Deora (Bridal mehndi specialist )Mumbai Bhavna Patel|celebrity Mehndi Artist|Mumbai
Jab khud par vishwas ho aur sahi mentor ka haath ho, toh har sapna poora ho sakta hai—bas darr ko chhodo aur mehnat par bharosa rakho. Hum sab kar sakte hain! 💫✨
♥️ mehandidesign